Best Islamic Quotes
1.
Naseeb kesa bhi ho namaz aur quran se madad lekar
Allah se jo mangoo, zaroor milta hai.
2.
Jab saari duniya muh pher leti hai
To is waqt Allah aap ke sath hota hai.
3.
Namaz ki toh wo shaan hai jo rok deti hai tawa-e-kaba ko
Tere karobar ki kya auqat hai jis ke lye tu chordeta hai namaz ko.
4.
Har tooti huwi umeed mujhe
Mere Allah se jorti hai. Islamic Quotes in Urdu
5.
Ikhlaq wo cheez hai jis ki qeemat kuch nahi deni parti
Haan magar is se har insaan khareeda jaskta hai.
6.
Insaan ko har haal main raazi ba razaiye ilahi rehna chahiye
Or sabar-o-shukar se kaam lena chahiye
Sabar karne se hi aala muqamat irfaan hasil hoti hain.
7.
Jin ka bharosa Allah ho,
Un ki manzil kamiyabi hai .
8.
Kuch dolat peh naaz karte hain kuch sorat peh naaz karte hain
Jin ke hathoon main daman-e-mustufa (S.A.W) ho wo umaati hone peh naaz karte hain .
9.
Neyat kitni bhi achi ho duniya tum ko tumhare dikhawey se janti hai
Or dikhawa kitna bhi acha ho Allah tum ko tumhari neyat se janta hai.
10.
Jo kisi ka bura nahi chahtey, un ke sath koi bura nahi karsakta
Yeh mere rab ka wada hai.
11.
Hazrat Muhammad (S.A.W) ne irshad farmaya:
Jo momin lagatar bemar rahe
Is ko bakhsh dya jata hai.